Harf e Aghaaz

Is mein koi shak nahi hai ke urdu adab mein kalaam e Chirkeen apni nawaiyyat wahid, nayaab aur dilchasp shaahkaar hai. Magar afsos ke mashahir e ilm o adab ne usey yaksar nazar andaaz kar diya. Chirkeen ka zikr agar kahin milta hai to bara e naam. Is sanf e sukhan ki ahmiyat ke pesh e nazar ek taweel arsey se meri dili khwahish thi ke Chirkeen muntashar ajza e kalaam , jahaan aur jaise bhi dastyaab hon, unhein yakja karun aur ek mukammal majmue ki shakal mein awaam ke saamne pesh kar sakoon.

Is blog ke zariye main ap tak wohi kalaam pohcha raha hun.

Thursday 15 September 2011

Muattar ho gaya ek gooz mein sara makaan apna

Muattar ho gaya ek gooz mein sara makaan apna,
tera sufra ye ai gul pairahan hai itr daan apna

Talab par ek bosey ki chupa kar gaand bhagogey,
yaqeen to kya na tha is baat par hargiz gumaan apna

Sune gar rustam e dastaan to hag de maarey khatre ke,
gharaz izhaar ke qaabil nahi dard e nihaan apna

Shab e furqat ke sadmein se phati jaati hai bulbul ki,
bas ab ud paad mu kala kar ai baad e khizaan apna

Utha sakta nahi ab nazuk andaamo ke gand ghamzey,
yahaan tak paada puni hai ye jism e natwaan apna

Chaleinge dekhne jis roz goo ga peer ka mela,
banega mehtaron ka tokra takht e rawaan apna

Agar nafkh e shikam se dard kuch mehsoos hota hai,
humara gooz ban jata fauran nauhakhwaan apna

Sukhan goyii ko kar ke tark addan paddan ab kije,
nahi duniya mein ai CHIRKEEN koi bhi qadrdaan apna

No comments:

Post a Comment