Harf e Aghaaz

Is mein koi shak nahi hai ke urdu adab mein kalaam e Chirkeen apni nawaiyyat wahid, nayaab aur dilchasp shaahkaar hai. Magar afsos ke mashahir e ilm o adab ne usey yaksar nazar andaaz kar diya. Chirkeen ka zikr agar kahin milta hai to bara e naam. Is sanf e sukhan ki ahmiyat ke pesh e nazar ek taweel arsey se meri dili khwahish thi ke Chirkeen muntashar ajza e kalaam , jahaan aur jaise bhi dastyaab hon, unhein yakja karun aur ek mukammal majmue ki shakal mein awaam ke saamne pesh kar sakoon.

Is blog ke zariye main ap tak wohi kalaam pohcha raha hun.

Thursday 24 May 2012

Shab ko posheeda jo aankho se wo mahpaara hua

Shab ko posheeda jo aankho se wo mahpaara hua,
Phutkiyaan gu ki mere aagey har ek taara hua

Khaane ke afyoon se pohchi hai ye naubat shekh ji,
Is qadar pet aapka phula hai ke naqqara hua

The muqayyad ai junoon bait ul khala e yaar mein,
Gooz ke maanind nikle apna chutkara hua

Jana ahle aabru ko de kabhi ganda mizaaj,
Hauz e paikhaane mein kab taameer e fauwaara hua

Gaand phatti hai humare saath chalte charkh ki,
Khalq e duniya mein na humsa koi aawara hua

Kitnii hi ragdi tawe par gaand aflatoon ne,
Ishq ke beemaar ka hargiz na kuch chaara hua

Ghoorne ghoore pe ek mehtar psar ko jayega,
Gar kabhi CHIRKEEN ko manzur e nazzara hua

Gu Juda Uchleyga Khush Hoyeinge Aghyaar Juda

Gu juda uchlega hoyeinge aghyaar juda,
Sar e CHIRKEEN na karo qaatil e khookhaar juda

Hai parastaari e beemar e mohabbat mushkil,
Gaand phat jaati hai ho jaate hain ghumkhwaar juda

Naak ghisne ke ewaz gaand ghisi hai yaan tak,
Pat juda khoon se hai tar sang e dar e yaar juda

Sheikh ne qauf se rindo ke ye hag hag maara,
Jubba aaluda juda gu se hai dastaar juda

Dastaras paanv talak bhi nahi sufra kaisa,
Pehloo e yaar se hootey nahi aghyaar juda

Gu na kha dawa e beja hai ye aukabak dari
Teri raftaar alag yaar ki raftaar juda

Jabse CHIRKEEN nahane ko gaya darya per,
Gu uchalta hai pada waar juda paar juda

Friday 16 September 2011

Be yaar sair ko jo main gulzaar tak gaya

Be yaar sair ko jo main gulzaar tak gaya,
daman pe gul ke haiz ke lattey ka shak gaya

Kya gaand phaad manzil e sehra e najd thi,
do chaar koss bhi na chala Qais thak gaya

Hagta tha ghair ku e sanam mein gaya jo main,
bin gaand dhoye khauf se mere khisak gaya

Fuzley ki ja nikalti hai ab peep gaand se,
dil ghair ka ye haath se janaa ke pak gaya

Hagtey mein uski gaand se nikla jo kechua,
na mard e ghair saanp samajh kar jhijhak gaya

Pii maine ja ke humraah e jana jo kal sharaab,
hag mara paijaamey mein aisa behak gaya

Nash o nama e baagh hai CHIRKEEN ke faiz se,
di khaad jis darakht ki jad mein phaphak gaya

Ghair ka dhak se hua ji koon se jaari khoon hua

Ghair ka dhak se hua ji koon se jaari khoon hua,
khucha e gesu mein mujhko dekh mu e khoon hua

Ghair jis dum paadta hai sunn ke hasta hai wo tifl,
uske aagey uska sufra damdi ki chu chu hua

Chark e deena se na ho paak taniyat ko khatar,
goo ke padne se bhala napaak kab jiuhunn hua

Chokrey the mere aagey ye dono dasht mein,
gaand kholey phirtey the Waamiq hua Majnoo hua

Aise afyooni ki khujlaye hui jo gaand laal,
mugh bachey bole ke sheikh tera ru maimoo hua

Ghair ne pada jo ko ka us kabutar baaz ne,
gooz ka nala kabootar ka sa bas ghut ghunn hua

Aaii hai rangeen bayani par agar CHIRKEEN ki tab'aa,
taza mazmuu hai gul e adam gul e mazmuu hua

Mujhse jo CHIRKEEN wo khafa ho gaya

Mujhse jo CHIRKEEN wo khafa ho gaya,
raub se peshaab khata ho gaya

Tune na is haal mein poochi khabar,
daston se ye haal mera ho gaya

Hag diya dehshat se shab e hijr ki,
dam mera jine se khafa ho gaya

Kaanch jo us gul ne dikhaii mujhko,
sheesha e dil choor mera ho gaya

Todte ho gooz se apna wazoo,
sheikh ji sahab tumhein kya ho gaya

Sheikh ji ab isko badal daaliye,
aapka ammama sadaa ho gaya

Malta hunn kapdo mein main ai rashk e gul,
itr mujhe moot tera ho gaya

Haiz ke latton se tere ai sanam,
gul ka gareebaan qaba ho gaya

Taiir e rang e rukh e aghyaar bhi,
gooz ke humraah hava ho gaya

Shokhi mein ai shokh tera khoon e haiz,
rashk wo rang e hina ho gaya

Sabza e khat aya jo CHIRKEEN ko yaad,
zakhm e dil aur hara ho gaya

Mehrbaan chirkeen jo woh mehtar pasar ho jaayega

Mehrbaan chirkeen jo woh mehtar pasar ho jaayega
apna bhi baitulkhala mein us kay ghar ho jaayega

nikhat-e-gul par gumaan hovega boo-e-gooz ka
yaar bin gulshan mein gar apna guzar ho jaayega

aage uskay gaand charkh-e-peer ragdega mudaam
dekh lena gar jawaan mehtar pasar ho jaayega

mootnay mein aaya gar dandaan-e-jaana ka khayaal
jo giray ga moot ka qatrah guhar ho jaayega

gaand tak ki bhi na hairat se rahegi kuchh khabar
saamnay gar shaikh kay mehtar pasar ho jaayega

jalwah farmaan hoga jo ghooray pe woh khursheed rau
chooth goo ka ghairrat-e-qars-e-qamar ho jaayega

waastay hagnay ke aaveyga jo woh khursheed rau
aks se baitulkhala burj-e-qamar ho jaayega

vasl ka taalib main 'chirkeen' na honga yaar se
ghoora ghaari mein mera matlab agar ho jaayega

Thursday 15 September 2011

Moot de dekhe agar kahnjar e mishghaan tera

Moot de dekhe agar kahnjar e mishghaan tera,
samna kar na sakey Rustam e dastaan tera

Tere diwaane ke ghus jaane se ye khatra hai,
mootne bhi kabhi jata nahi darbaan tera

Ku e jaanaa ke jo bashinde hain unke saamne,
baaghbaan ghoorey se badtar hai gulistaan tera

Sunn ke naaley ko mere chu na kare gulshan mein,
gooz ye band hu ai murgh e khush ilhaan tera

Dekh us gauhar e nayaab ke peshaab ki boond,
jauhari naam na le o durr e ghaltaan tera

Qumriyaan mootne jayein na kabhi saroo ke paas,
gar chalan dekhein wo ai sar o khirmaan tera

Kya kahein tujhse ke kya kya huii CHIRKEEN ko havas,
paikhaane mein badan dekh ke uriyaan tera

Muattar ho gaya ek gooz mein sara makaan apna

Muattar ho gaya ek gooz mein sara makaan apna,
tera sufra ye ai gul pairahan hai itr daan apna

Talab par ek bosey ki chupa kar gaand bhagogey,
yaqeen to kya na tha is baat par hargiz gumaan apna

Sune gar rustam e dastaan to hag de maarey khatre ke,
gharaz izhaar ke qaabil nahi dard e nihaan apna

Shab e furqat ke sadmein se phati jaati hai bulbul ki,
bas ab ud paad mu kala kar ai baad e khizaan apna

Utha sakta nahi ab nazuk andaamo ke gand ghamzey,
yahaan tak paada puni hai ye jism e natwaan apna

Chaleinge dekhne jis roz goo ga peer ka mela,
banega mehtaron ka tokra takht e rawaan apna

Agar nafkh e shikam se dard kuch mehsoos hota hai,
humara gooz ban jata fauran nauhakhwaan apna

Sukhan goyii ko kar ke tark addan paddan ab kije,
nahi duniya mein ai CHIRKEEN koi bhi qadrdaan apna

Ishq hai Chirkeen ko kis khush chasham se ighlaam ka

Ishq hai Chirkeen ko kis khush chasham se ighlaam ka,
hai mani mein uski alam raughan e badaam ka

Maiel hai uske badan ka ghairat e mushk e khutan,
ambar e sara se goo behtar hai us gulfaam ka

Khud ba khud baanku ke dar se dupdupati hai jo gaand,
kisne ghamzey ko diya hai hukm qatl e aam ka

Ghair koni se chupa hargiz na uska ishq e khaam,
hazam hona ghair mumkin tha ghaza e khaam ka

Moot de dehshat ke maarey hag de jallaad e falak,
dekhe alam yaar ki gar tegh e khuun ashaam ka

Sheikh ji ko phir tabeebon ne bataya hai amal,
ho gaya phir aaj kal unko khalal sar saam ka

Saamne uske na kije guftugu har ek se,
goo uchalega bohat CHIRKEEN hai apne naam ka