Harf e Aghaaz

Is mein koi shak nahi hai ke urdu adab mein kalaam e Chirkeen apni nawaiyyat wahid, nayaab aur dilchasp shaahkaar hai. Magar afsos ke mashahir e ilm o adab ne usey yaksar nazar andaaz kar diya. Chirkeen ka zikr agar kahin milta hai to bara e naam. Is sanf e sukhan ki ahmiyat ke pesh e nazar ek taweel arsey se meri dili khwahish thi ke Chirkeen muntashar ajza e kalaam , jahaan aur jaise bhi dastyaab hon, unhein yakja karun aur ek mukammal majmue ki shakal mein awaam ke saamne pesh kar sakoon.

Is blog ke zariye main ap tak wohi kalaam pohcha raha hun.

Friday 16 September 2011

Be yaar sair ko jo main gulzaar tak gaya

Be yaar sair ko jo main gulzaar tak gaya,
daman pe gul ke haiz ke lattey ka shak gaya

Kya gaand phaad manzil e sehra e najd thi,
do chaar koss bhi na chala Qais thak gaya

Hagta tha ghair ku e sanam mein gaya jo main,
bin gaand dhoye khauf se mere khisak gaya

Fuzley ki ja nikalti hai ab peep gaand se,
dil ghair ka ye haath se janaa ke pak gaya

Hagtey mein uski gaand se nikla jo kechua,
na mard e ghair saanp samajh kar jhijhak gaya

Pii maine ja ke humraah e jana jo kal sharaab,
hag mara paijaamey mein aisa behak gaya

Nash o nama e baagh hai CHIRKEEN ke faiz se,
di khaad jis darakht ki jad mein phaphak gaya

7 comments:

  1. I had the complete Diwaan of Chirkin but some how I lost the book. It had around 100 ghazals. Thanks so much for sharing these ones. I remember some Ghazals like"Aa nahi sakta hai koi ab to apane ghar ke paas" or "Yaad Dariya me jo Hagna tera aaye muzko."

    Keep contributing.

    ReplyDelete
    Replies
    1. We have that diwan. Hand written one.its unpublished

      Delete
  2. Hasan bhai..can u plz publish that handwritten Divan...if not at least what app.me the screenshots...@ 00971555720464
    JazaalAllaahukhair...

    ReplyDelete