Harf e Aghaaz

Is mein koi shak nahi hai ke urdu adab mein kalaam e Chirkeen apni nawaiyyat wahid, nayaab aur dilchasp shaahkaar hai. Magar afsos ke mashahir e ilm o adab ne usey yaksar nazar andaaz kar diya. Chirkeen ka zikr agar kahin milta hai to bara e naam. Is sanf e sukhan ki ahmiyat ke pesh e nazar ek taweel arsey se meri dili khwahish thi ke Chirkeen muntashar ajza e kalaam , jahaan aur jaise bhi dastyaab hon, unhein yakja karun aur ek mukammal majmue ki shakal mein awaam ke saamne pesh kar sakoon.

Is blog ke zariye main ap tak wohi kalaam pohcha raha hun.

Thursday 15 September 2011

Moot de dekhe agar kahnjar e mishghaan tera

Moot de dekhe agar kahnjar e mishghaan tera,
samna kar na sakey Rustam e dastaan tera

Tere diwaane ke ghus jaane se ye khatra hai,
mootne bhi kabhi jata nahi darbaan tera

Ku e jaanaa ke jo bashinde hain unke saamne,
baaghbaan ghoorey se badtar hai gulistaan tera

Sunn ke naaley ko mere chu na kare gulshan mein,
gooz ye band hu ai murgh e khush ilhaan tera

Dekh us gauhar e nayaab ke peshaab ki boond,
jauhari naam na le o durr e ghaltaan tera

Qumriyaan mootne jayein na kabhi saroo ke paas,
gar chalan dekhein wo ai sar o khirmaan tera

Kya kahein tujhse ke kya kya huii CHIRKEEN ko havas,
paikhaane mein badan dekh ke uriyaan tera

No comments:

Post a Comment