Harf e Aghaaz

Is mein koi shak nahi hai ke urdu adab mein kalaam e Chirkeen apni nawaiyyat wahid, nayaab aur dilchasp shaahkaar hai. Magar afsos ke mashahir e ilm o adab ne usey yaksar nazar andaaz kar diya. Chirkeen ka zikr agar kahin milta hai to bara e naam. Is sanf e sukhan ki ahmiyat ke pesh e nazar ek taweel arsey se meri dili khwahish thi ke Chirkeen muntashar ajza e kalaam , jahaan aur jaise bhi dastyaab hon, unhein yakja karun aur ek mukammal majmue ki shakal mein awaam ke saamne pesh kar sakoon.

Is blog ke zariye main ap tak wohi kalaam pohcha raha hun.

Thursday 15 September 2011

Ishq hai Chirkeen ko kis khush chasham se ighlaam ka

Ishq hai Chirkeen ko kis khush chasham se ighlaam ka,
hai mani mein uski alam raughan e badaam ka

Maiel hai uske badan ka ghairat e mushk e khutan,
ambar e sara se goo behtar hai us gulfaam ka

Khud ba khud baanku ke dar se dupdupati hai jo gaand,
kisne ghamzey ko diya hai hukm qatl e aam ka

Ghair koni se chupa hargiz na uska ishq e khaam,
hazam hona ghair mumkin tha ghaza e khaam ka

Moot de dehshat ke maarey hag de jallaad e falak,
dekhe alam yaar ki gar tegh e khuun ashaam ka

Sheikh ji ko phir tabeebon ne bataya hai amal,
ho gaya phir aaj kal unko khalal sar saam ka

Saamne uske na kije guftugu har ek se,
goo uchalega bohat CHIRKEEN hai apne naam ka

2 comments:

  1. janab-e-aali, kisi ne chirkeen ko nazar-andaz nahi kiya hai...woh hamaare Urdu adab ke aklowte shayar hain jinhon ne "biraziyat" par sher kahe...Shatir Gorakhpuri sahib ne inka poora deewan murattab kiya hai jo bazar mein dastayab hai...Shamsur Rahman Faruqi kaafi pahle chirkeen par likh chuke hain, aur khoob likha hai....sehmahi "Esbaat" (Mumbai) ke guzishta shumare mein bhi chirkeen ke kalaam ka intikhab pesh kiya jaa chuka hai...

    ReplyDelete
  2. शायर की शायरी हिंदी में हो न की english में

    ReplyDelete